My choice of Urdu Shayari

 

    

Mirza Ghalib

''Ibtida hoti hai tere naam se''

About Ghalib

**************************************************

Some Urdu Ash'aar

**************************************************

*

Tujh sa sukhanshnaas koee doosra nahin

Sun ai khayaal-e-yaar Ghazal keh rahaa hoon main

*

Udhar usne angrhaaee li baam par

Idhar Ghazal ki ibtida ho gaee

*

Mehboob ka ghar ho ya bazurgon ki zameene

Jo chod diya phir kabhi mudhkar nahin dekha

*

Main door ja raha hoon, safar hai kathin bahut

Ai Maan mere wujood ka sadka utaar day

*

Yeh faasle to ufak say zyaada door nahin

Zameen par utar aaogay aasmaan ki tarah

*

Mere paas se guzar kar mera haal tak na poosha

Main yeh kaise maan jaaoon ki wo dur jaake roe

*

Ek viraana yahaan umar bita di maine

Teri tasveer laga di hai to ghar lagta hai

*

Na jaane kaun sa ghar zaalimon ne foonk dia

Buland itne the sho'ale ki jal gae baadal

*

Ajab chiraag hoon, din raat jalta rehta hoon

Main thak gaya hoon-havaa se kaho bujhaae mujhe

*

Haan mere gham to utha leta hai, ghmkh'ar nahin

Dil yoon mera hai magar mera tarafdaar nahin

*

Pehle kaanton ko bhi seene se lagaa lete the

Ab koee phool bhi deta hai to dar lagta hai

*

Kush der tak to us se meri guftgoo rahi

Fir yeh huwa ki wo mere lehze men dhal gaya

*

Main chaahta hoon ki tum hi mujhe ijazat do

Tumhaari taraha se koee gale lagaae mujhe

*

Saaya hoon to fir saath na rakhne ka sabab qia

Pathhar hoon to raste se hata qion nahin dete

*

Nasha aa jaae mujhe teri jawaani ki qasam

Tu agar jaam men bhar ke mujhe paani de de

*

Neend uski hai, dimaag uska hai, raaten uski hain

Teri zulfen jiske shaanon pe rarishaan hi gaeen

*

Waqat khush khush kaatne ka mashwara deta huaa

Ro parha wo aap mujhko hausala deta huaa

*

Jaaoonga achanak to sabhi chaunk parhenge

Ik umar huee din men kabhi ghar nahin dekha

*

Khilbat-o-jalbat men tum mujhse mili ho baarha

Tumne qia dekha nahin- main muskura sakta nahin

*

Nashtar hai mere haath men, kaandhon pe maikada

Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar leke aa gaya

*

Main maikade ki orse hokar guzar gaya

Varana safar hayaat ka kaafi tabeel tha

*

Tune to ek hi sadme se kia tha do chaar

Dil ko har tarah se barbaad kia hai maine

*

Kush to rangeen hai waise bhi dil-o-jaan ki baat

Aur kush khoon-e-jigar ham bhi mila dete hain

*

Tumhen to waada-e-didaar hamse karna tha

Yeh qia kia ki jahaan ko umeedbaar kia

*

Apne apne hausale apni talab ki baat hai

Chun lia hamne tumhen saara jahaan rehne dia

*

Maana ki tere lutf-o-karam behisaab hain

Mere gunaah bhi aa nahin sakte shumaar men

*

Aisa na ho yeh dard bane dard-e-ladava

Aisa na ho ki tum bhi madaava na kar sako

*

Raat ko din se milaane hi hawas thi hum men

Kaam achha na tha anjaam bhi ashha na hua

*

Junoon-e-ishaq men hum had se barh gae varana

Kisi men taab kahan thi hamen mitaane ki

*

Ajab nahin ki Khuda arsh se utar aae

Ab aadmi ko kush apna khayaal aaya hai

*

Tere jamaal ka jab tak na izan mil jaae

Kisi chiraag ko jalne ka ikhtiaar nahin

*
Maathe ke pasine ki mehak aae na jis se

Wo khoon mere jisam men gardish nahin karta

*
Is bulandi pe kitna tanha hoon

Kaash main sab ke baraabar hota

*
Jiske aane ki khabar thi agar aaya hota

Humne qia qia na isi ghar ko sajaaya hota

*
Andhere ghar jo chale aae raushani ke lie

Hum apna ghar na jalaate bhala to qia karte

*
Mar chuk kahin ki tu gham-e-hijraan se shoot jaae

Kehte to hain bhale ki wo lekin buri tarah

*
Mujhse tu pooshne aaya hai wafaa ke maa'ne

Yeh teri saadadili maar na daale mujhko

*
Alag alag sahi dunyaan ka aur dost ka gham

Kabhi yunhin zaraa dekho inhen milaa kar bhi

*

Le mere tazarubon se sabaq ai mere raqeeb

Do chaar saal umar men tujh se badha hoon main

*
Rehne do mat bujhaao mere aansuon ki aag

Is kashmkash men aapka daaman na jal padhe

*
Is tarah tujh se kie hain shikwe

Mujhko apne se gila ho jaise

*
Sharm samjhe tere tagaaful ko

Waah qia hoshiaar hum bhi hain

*
Abar-e-awaara se hai mujhko wafaa ki umeed

Bark-e-betaab se shiqba hai ki paainda nahin

*
Lambi siaah raat guzarti hai is tarah

Main jaagta yahaan hoon wahaan jaagte ho tum

*
Ik ik karke hue jaate hain taare raushan

Meri manzil ki taraf tere kadam aate hain

*
Jeet le jaae koee mujhko naseebo waalaa

Zindgi ne mujhe daao pe laga rakha hai

*
Meri taqdeer men likhi huee hai gehraaee

Main apni fiqar men dooba hua samundar hoon

*

Kitne parwaane jale raaz yeh paane ke lie

Shama jalne ke lie hai ja jalaane ke lie

*

Khud tumhen chak-e-girebaan ka shaoor aa jaaega

Tum wahaan tak aa to jaao hum yahaan tak aa gae

*

Kabhi hayaat ki zaamin kabhi waseela-e-marag

Nigaah-e-dost tera koee etbaar nahin

*

Zamaana abhi tak sazaa pa raha hai

Khataa ho gaee thi kabhi aadmi se

*

Jab bhi dekhi hai kisi chihre pe ik taazaa bahar

Dekh kar main teri tasveer puraani royaa

*

Jis ko jaana hi nahin us ko khuda qion maane

Aur jise jaan chuke hain wo khuda kaise ho

*

Sheeshe ki deewaar na tooti taare todhne waalon se

Ishaq men jo sunte aae hain kisse hain, afsaane hain

*

Mere hothon ka tabassum de gayaa dhokha tujhe

Toone mujhko baagh samjha dekh le sehra hoon main

*

Kaise hamdard ho tum kaisi masihaaee hai

Dil pe nashtar bhi chalaate ho to marham ki tarah

*

Main wo mehroom ki jaise koee veeraana ho

Tu wo khushfeham khraabon se khazaane maange

*

Doobte doobte kashti ko ushaala de doon

Main nahin koee to saahil pe utar jaaegaa

*

Main zinda tha ki tera intizaar khatam na ho

Jo tu mila hai to ab sochta hoon mar jaaoon

*

Ho na jaae kahin daaman ka shudhaana mushkil

Mujhko diwaana banaate ho yeh qia karte ho

*

Hawaa ke dosh pe rakhe huwe chiraag the hum

Jo bujh gae to hawaa se shikayaten kaisi

*

Jisko toone na aazmayaa ho

Wo kahin par bhi kamyaab nahin

*

Gar meri justjoo hai to mera pata na poosh

Damaan-e-dasat se koee zaraa utha ke dekh

*
Zaraa-e-khaq hoon parwaaz ki hasrat hai mujhe

Aandhio tez chalo aur udhaa lo mujhko

*

Wo kitna hoshmand tha jo mere naam pe

Mashhoor khud huwa mujhe ruswaaee de gayaa

*

Hai husool-e-aarzoo ka raaz tarq-e-aarzoo

Maine dunyaan shodh di to mil gaee dunyaan mujhe

*

Din bhar ki mushakkat se badan toot raha hai

Ai shab tu mujhe Maan ki tarah god men le le

*
Main ek zaraa bulandi ko shoone nikla tha

Hawaa ne tham ke zameen par giraa diyaa mujhko

*

Main khudaa ke khauf se darta hoon lekin yaad rakh

Baat jab had se badhi rasmen utha di jaaengee

*
Ab aage tum pe bhi mumkin hai koee baat aae

Jo hukam ho to yaheen shodh doon fasaane ko

*

Main chaahta bhi yehi tha wo bewafaa nikle

Use smjhne ka koee to silsila nikle

*

Kitne bhi ghanere hon teri zulaf ke saae

Ik raat men sadion ki thakan kam nahin hoti

*

Tamaasha dekh rahe the jo doobne ka mera

Meri talaash men nikle hain kashtiaan lekar

*

Daamn-e-dard ko gulnaar bana rakha hai

Aawo ik din dil-e-purkhoon ka hunar to dekho

*
Bekhayaali men kabhi ungaliaan jal jaaengee

Raakh guzre huwe lamhon ki kureda na karo

*
Saafr-e-shab ka takaaza hai tere saath rahoon

Waqat purhaul hai toofaan hai aane wala

*
Tu rahega na tere sitam rahenge baaki

Din to aanaa hai kisi roz hisaabon wala

*
Hai mera zabt-e-junoon josh-e-junoon se barhkar

Nang hai mere lie chak-e-girebaan hona

*
Tumhin ne humko sunayaa na apna dukh varna

Duaa wo karte ki hum aasmaan hilaa dete

*

Ik roz is tarah bhi mere baazuon men aa

Mere adab ko teri hayaa ki khabar na ho

*

Khud ko yoon mahsoor kar baitha hoon apni zaat men

Manzilen chaaron taraf hain raasta koi nahin

*

Wo to dunyan ko meri diwaangi khush aa gaee

Tere haathon men vagarna pehla pathhar dekhta

*

Main jaanta hoon ki dunyan tujhe badal degi

Main maanta hoon ki aisa nahin bzahir tu

*

Kaash auron ki tarah main bhi kabhi keh sakta

Baat sun li hai meri aaj khuda ne mere

*

Naseeb phir koi taqreeb-e-karab ho ki na ho

Jo dil men hon vahi baaten kia karo us se

*

Meri zubaan ki nuksat se badgumaan na ho

Tu jo chaahe to tujhe umar bhar miloon bhi nahin

*
Pehle pehl ka ishaq abhi yaad hai hamen

Dil khud yeh chaahta tha ki ruswaaeean bhi hon

*
Ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost

Aab-o-daana nahin ki tujh se kahen

*
Wo jisko bazurgon ki riwayat na rahe yaad

Us shakhash ki logo koi pehchaan nahin hai

*
Qion chandni raaton men darya pe nahaate ho

Soe huwe paani men qia aag lagaani hai

*
Yoon dekhti hai gumshuda lamhon ke modh se

Is zindgi se jaise koi vaasta na tha

*
Zinda rehne ki tamanna ho to ho jaate hain

Fakhtaaon ke bhi kirdaar ukaabon waale

*

Na kar kisi pe bharosa ki kashtaan doobin

Khuda ke hote huwe, nakhuda ke hote huwe

*

Aa ki ab tasleem kar len tu nahin to main sahi

Kaun maanenga ki hum men bewafa koi nahin

*

Mera khuloos behlta nahin hai lafzon se

Main tere khat ke nahin, tere intizaar men hoon

*

Wo hai jo salaamat to adaabat ka mazaa hai

Dushman ko kabhi jaan se maaraa nahin karte

*

Hairan hoon mere dil men samaae ho kis tarah

Waisay to do jahan men samaate nahin ho tum

*

De mujhko dilaasaa ki bahut toot chuka hoon

Mat  pooch ki main kitni bulandi se gira hoon

*

Kaun kehta hai ki maot aaee to mar jaaoonga

Main to daryaa hoon samundar men utar jaaoonga

*

Unsay sheenkay say koyee cheez utarwayee hai

Kaam ka kaam hai andaayee ki angdaayee hai

*

Aati hai abhi tak tere khat say teri khushboo

Kuch phool khizaaon men bhi sookha nahin kartay

*

Main hoon insaan muhabbat ki zaroorat hai mujhay

Girti deewaar samajh kar na sanbhaalo mujhko

*

Hoon main toh pyaar ka pyaasa tum mujhsay pyaar say bolo

Tumhaari baat men zar kay hawaalay zehar lagtay hain

*

Mujhko sooli pay chadaanay ki zuroorat qia hai

Cheen lo qalam mere haath say-mar jaaoonga

*

Tamaam shehar mere saath tha magar mainay

Faqir-e-shehar kay haathon men apna haath diya

*

Itna samaa gaya hai zihan men tera wujood

Main jis taraf gaya wohi teri gali lagi

*

Gir jaao zameen pay toh utha legi yeh duniyaan

Lekin kabhi duniyaan ki nigaahon say na girna

*

Yaaro ajab nahin ki main girkay bikhar gaya

Usnay mujhay ushaal kay baazoo hataa liye